
Teen Patti King
Vicky Sharma ki duniya us din bikhar gayi jab uske pita shaadi ke shagun ke paise jua me haar baithe, aur ladki walon ne sabke saamne unki izzat mitti me mila di. Beizzati, gareebi aur dhokhe ke us andhere me kisi ko andaza nahi tha ki chup rehne wala Vicky asal me taash ki duniya ka khatarnak khiladi hai. Ab Vicky ne kasam kha li thi — har ek paisa, har ek apmaan aur har ek aansu ka hisaab hoga… daav bhi uska hoga aur Jeet bhi.











